Loading

<<<<< Naam Hai Jiska Vandana >>>>>


Bholi Si Surat , Pyaar Ki Moorat
Naam Hai Jiska Vandana ,

Door Desh Mein Rahti Kahin Wo
Naam Hai Jiska Vandana !

Wo Mrag Nayani , Chaal Morni ,
Chaand Sa Chehra Hai Uska ,

Dil Mein Jiskey Pyaar Ka Upwan
Naam Hai Jiska Vandana !

Sapno Ki Rani , Madhosh Chaandni ,
Nirmal Ganga , Vandana ,

Ritu Ki Sawan , Manbhawan
Naam Hai Jiska Vandana !

Dil Ki Dharkan , Chandan Madhuban ,
Man Mohni Vandana ,

Madhur Sangeet , Man Ki Preet
Naam Hai Jiska Vandana !


Swarn Khanak , Sheetal Anubhav ,
Sanju Ki Radha Vandana ,

Suron Ki Sargam , Swarg Apsara ,
Naam Hai Jiska Vandana !

Dil Ki Chahat , Man Ki Rahat ,
Pyaari Pyaari Vandana ,

Sapnon Mein Wo Aati Hai ,
Naam Hai Jiska Vandana !