Loading

Chaand Tum To Na Jao


Abhi chal kar ke aaya hoon , Abhi aakar ke baitha hoon !

Abhi to raat baki hai , Chand tum to na jao !!

Abhi wo saj ke aayegi , Bhareygi bahon mein mujhko !

Janu se Milan baki hai , Chand tum to na jao !!

Chumegi surkh hothon se , Uthengi lahriyaan dil mein !

Abhi har raag baki hai , Chand tum to na jao !!

Khelunga tan se jab uskey , Fijayein jhoom jayengi !

Koyal ki kook baki hai , Chand tum to na jao !!

Bidak ke chikhna uska , Rooth ke bhagna uska !

Abhi har khel baki hai , Chand tum to na jao !!



Wo Hokar mast jhoomegi , hawaein jal si jayeingi !

Abhi har ada baki hai , Chand tum to na jao !!

Chherunga taar jab uskey , Machal jayegi wo has kar ke !

Tujhey sharmana baki hai , Chand tum to na jao !!

Ishq – e – sagar ka bahna , Sajan Ka Sajni se milna !

Quamat aani baki hai , Chand tum to na jao !!

Thak kar so gaya aakar , Sanam tum ab bhi na aaye !

Subah honey ko aayi hai , Chand tum to ab jao !!

Pata hai has rahey ho tum , Meri majbooriyaan ginkar !

Uska aana baki hai , Chand tum laut kar aao !!