Loading

Teri Payaliya ki Chhan Chhan

I love you My Sweet Heart........





Teri payaliya ki chhan – chhan , saanp lutati hai !

Merey siney me aakar , kuchh kuchh kar jati hai !!


Teri mast adaon ka , main to diwana hoon !

Koyal si teri ku - ku , mery dil ko lubhati hai !!


Main hokar diwana , pagal ho jata hoon !

Jab bel si lipti tu , mujh mein kho jati hai !!


E – meri janam , main mar – mar jata hoon !

Jab surkh labon se tu , merey tan ko jalati hai !!


Main rahkar bhi nahi rahta , mad-mast sa hota hoon !

Jab mast nigahon se , tu jaam pilati hai !!


Waqt thahar jaye , har lamha rook jaye !

Jab mast pawan si tu , jhooma karti hai !!




Jab chherey tu sargam , apni bholi baton se !

Aisa lagta hai , tu mishri si pilati hai !!


Bulandi pe pahunchta hai , jab pyaar ka har toofaan !

Ek kali khilkar , gulshan ho jati hai !!


Aankho se merey har-dam , sawan sa barasta hai !

Jab yaad teri mujhko , pal – pal mein aati hai !!


Teri payaliya ki chhan-chhan , sun ne ko tarasta hoon !

Aa jao ' sanam ab to , Meri jaan si jati hai hai !!